Talaash – A Find!

Itni dur main chala,
Dhundla ho gaya,
Apne aks ko kho diya,
Aisa main ulajhta raha.

Kho diya kuch,
Kise…
Aur kaise…
Talaash hai.
Apna koi bhool gaya.

Aasmaan ki udaan,
Taaro ki saugaat,
Timtimati roshni,
Savaari meri jeet ki.
Le gaya apno ko,
Meethe rishton ko,
Mita diye saare faaslein.
Phir bhi thodi…Talaash hai.

Kaamyabi ki takht par,
Khada main akela,
Shikhar par sabse aage,
Mere peeche duniyawale.
Taaliyon ka shor,
Khushiyon ki badhayie,
Shabaashi kandho par,
Phir bhi thodi…Talaash hai.

Seedi joh upar le jaaye,
Woh badhti chali jaaye,
Naye mukam dikhayein,
Neeche ka na koi dhaam.
Main band aankhon ka aisa abhaaga.
Itna lamba dekh na paaya.
Phir bhi thodi…Talaash hai.

Mehnat se yahan pahucha,
Kashton ko maine saha,
Tum kya jaano iss daur ko,
Har lamha maine jiya.
Yahan aana mera khwaab tha,
Ab aa toh gaya,
Phir bhi thodi…Talaash hai.

Kamyaabi kamaayi,
Daulat aur shaurat bhi,
Jeeta Jag,
Jeeta apna naam.
Phir bhi thodi…Talaash hai.

Haan…
Talaash hai…
Mujhe meri…
Koun tha pehle,
Aaj koun hoon main,
Aaine ne bhi diya dhoka,
Le gaya mujhse meri pehchaan.

Bhagta chala,
Ruke na ruka,
Manzil ka junoon savaar,
Tezi ka main hua shikaar.

Talaash hai…
Mujhe meri.
Mann ke sukoon ki.
Apno ke saath ki.
Ghar ki roti ki.
Mere humsafar ki.

Aaj awaaz do mujhe,
Kaho ab laut chalein,
Talaash hai mujhe…
Tumhari…
Aur hamari!

 

2 thoughts on “Talaash – A Find!

Add yours

Leave a comment

Website Powered by WordPress.com.

Up ↑