Mann ka khel,
Ya tann ka mel…
Shabdon ka khiladi,
Rachna mein nivaasi.
Kahi eshwar mein,
Toh kabhi shobha mein…
Dil ki muraad se,
Mera ardaaz mein.
Hai kahi bheetar,
Talaash jaari baahar…
Aisa woh chitchor,
Kone mein halka sa shor.
Chupke se aayi soch,
Mann ki baat, roz…
Sukoon hai yahi,
Jahaan wohi hi sahi.
Kuch kahoon,
Sukoon ka ek naam…
Mann ka woh shyam,
Woh naam…
Sirf woh naam,
Ab, mera dhaam!