Talaash – A Find!

Itni dur main chala,
Dhundla ho gaya,
Apne aks ko kho diya,
Aisa main ulajhta raha.

Kho diya kuch,
Kise…
Aur kaise…
Talaash hai.
Apna koi bhool gaya.

Aasmaan ki udaan,
Taaro ki saugaat,
Timtimati roshni,
Savaari meri jeet ki.
Le gaya apno ko,
Meethe rishton ko,
Mita diye saare faaslein.
Phir bhi thodi…Talaash hai.

Kaamyabi ki takht par,
Khada main akela,
Shikhar par sabse aage,
Mere peeche duniyawale.
Taaliyon ka shor,
Khushiyon ki badhayie,
Shabaashi kandho par,
Phir bhi thodi…Talaash hai.

Seedi joh upar le jaaye,
Woh badhti chali jaaye,
Naye mukam dikhayein,
Neeche ka na koi dhaam.
Main band aankhon ka aisa abhaaga.
Itna lamba dekh na paaya.
Phir bhi thodi…Talaash hai.

Mehnat se yahan pahucha,
Kashton ko maine saha,
Tum kya jaano iss daur ko,
Har lamha maine jiya.
Yahan aana mera khwaab tha,
Ab aa toh gaya,
Phir bhi thodi…Talaash hai.

Kamyaabi kamaayi,
Daulat aur shaurat bhi,
Jeeta Jag,
Jeeta apna naam.
Phir bhi thodi…Talaash hai.

Haan…
Talaash hai…
Mujhe meri…
Koun tha pehle,
Aaj koun hoon main,
Aaine ne bhi diya dhoka,
Le gaya mujhse meri pehchaan.

Bhagta chala,
Ruke na ruka,
Manzil ka junoon savaar,
Tezi ka main hua shikaar.

Talaash hai…
Mujhe meri.
Mann ke sukoon ki.
Apno ke saath ki.
Ghar ki roti ki.
Mere humsafar ki.

Aaj awaaz do mujhe,
Kaho ab laut chalein,
Talaash hai mujhe…
Tumhari…
Aur hamari!

 

Raat – The Black Night!

Yeh raat har roz aati,
Jaane kitne sanaate laati,
Tum kya jaano sanaato ko,
Chupein kai gehre raaz jo.

Dheemi-si chali lambi raat,
Kehti kuch iski kaali jaat,
Sunn dastaan ishq ki,
Mohabbat ke jalte jazbaat ki.

Aaj ki raat akeli yunh,
Dhuan kaali chaadar ka kyon,
Sochu shayad tum aaj aao,
Adhuri aaz ko jaam pilao.

Banke shaayar main baitha,
Haale-e-dil kuch bayaan karta,
Khaamoshi ka izhar karta,
Chandni raat tera deedar karta.

Khoobsoorti tham si gayi,
Dabe hoth sil se gaye,
Sehmi baahein ruki na gayi,
Bikhri silvatein ek paheli de gayi.

Yeh raat har roz aati,
Jaane kitne sanaate laati,
Tum kya jaano sanaato ko,
Chupein kai gehre raaz jo.

Website Powered by WordPress.com.

Up ↑

%d bloggers like this: