Khwaaish! – Desire

Jitni shiddat se paana chahu,
Utni dooor tu jaana chahe,
Tehr gaya mera mann bhi,
Kya tu khwaab hai, ya koi haqueeqat!

Ruka hoon paas aane ko,
Aaz bhi badhti chali,
Saansein meri tham gayi,
Kya tu sach hai, ya koi saazish!

Ban jaa dil ki aarzoo,
Rooh ki tamanna bhi tu,
Poori kar mere lab ki khwaaish,
Kya tu chahat hai, ya koi numaaish!

Iss raat ki ho na subah,
Deep jale; roshan bane chandni,
Shama pighalti gayi,
Kya tu ijazzat hai, ya dil ki zamaanat!

 

Sparsh! – A touch

https://www.youtube.com/watch?v=Jahus_0mysI

Samundar ke tat par,
Aayi ek leher oonchi,
Khaara paani bheega le gayi,
Oof kya tumne mujhe choo aa…
Yeh kaisa sparsh hai tera!

Dooor dooor tak faili,
Ret ki lambi chaadar,
Komal chaav se lipti rahi,
Oof kya tumne mujhe sarahyaa…
Yeh kaisa sparsh hai tera!

Chadhta suraj apni jawaani mein,
Peeli roshni neele amber mein,
Odh lu kesariya rang chunar ka,
Oof kya tumne mujhe bikhraya…
Yeh kaisa sparsh hai tera!

O ri chori, ab sun le mari zara,
Halki muskaan ki meethi hasi hoon main,
Khaamosh zubaan ka alfaz hoon main,
Sulagti aag ki shama hoon main,
Dhadakte dil ki aag hoon main,
Dabe ehsaas ka raaz hoon main,
Rom rom ki pukar hoon main,

Teri rooh mein hoon main tehra,
Meera ke mann ka hoon main basera.
Kisan mein hai tera sparsh,
Tujse hi hoon main,
Mujhse hi hai teri leela,
Main hoon tera sparsh.

 

Website Powered by WordPress.com.

Up ↑