Woh kya hai jiski rooh nahi,
Woh koun hai jiska raaz nahi,
Phir bhi kabrr par sajta wohi…
Woh kaha hai jiska dhaam nahi,
Woh kabhi hawa se jukta nahi,
Phir bhi aangan mein basta wohi…
Woh kaisa hai jiski baat nahi,
Woh kyon hai jiske jazbaat nahi,
Phir bhi sej pe sajta wohi…
Woh dil pe na kaabu paya,
Woh kyon shabdon se na takraaya,
Phir bhi sehre se bandha wohi…
Woh anant mein kyon,
Woh moksh mein kab,
Mile kuch aise…
Jaise,
Puja ki dhun mein jab,
Aarti ke sur mein sab,
Dev ki bhakti mein tab,
Paavandham ka ek louta nivaasi wohi…
Bataon yaaron,
Woh koun…
Pushpp: