Chhapak – Inspired by the upcoming movie release of the real life acid attack survivor – Laxmi Aggarwal

Ae musafir…
Ruk zara,
Dekh, yahan…
Thoda wahan bhi…

Aankhen band kar,
Mann ki nazar khol,
Paaoge mujhe,
Meri rooh ko.
Mere ehsaas ko.

Main bani aarzoo,
Main rahoon sach,
Pehchaan mujhe…
Main hoon woh,
Main thodi si ‘Chhapak’.

…Na dekh mera rang,
Na dekh mera roop,
Main pyaari Chhapak,
Keval dekh; mera mann.

Nazar na rakh kayar,
Aankhein na juka sharam si,
Main masoom Chhapak,
Dua kar; zamaana rahe paak.

Andhere ka mooh kaala,
Ujaale pe kyon laga taala,
Main timtimati Chhapak,
Sitaaron sa; mera aashiyana.

Dard ki na koi bhasha,
Satya ki na koi zubaan,
Main adbhut Chhapak,
Insaaf bana; jeevan ka saath.

Phir ek daur aaya,
Hua naya janam,
Mita nishaan kalank ka.
Badal ne bahein kholi,
Hawa ne khuli saans li,
Gun gunati main yunhi boli,
Main thodi si ‘Chhapak’.

Apna time aayega…

Toasting ‘1st anniversary’ to Ad Passions Infinite – 23/01/18 to 23/01/19.

Beedi poori phookh daali,
Chilum bola; bhai apun bhi tere saath,
Yaad mein nikla sirf dhuan.
Saala, Love yeh kaisa,
Apna time aayega…

Katte pe raha intezaar,
Ek…ich pyaali mein apna pyaar,
Socha aayegi aaj toh bahaar.
Saala, Love yeh kaisa,
Apna time aayega…

Lamp-post ki batti gul,
Gully mein andhera full,
Billo rani banegi bijli.
Saala, Love yeh kaisa,
Apna time aayega…

Signal pe dum mara,
Lal, pili dekhta raha,
Hari pe hui gaadi chalu.
Baap, apni toh ho..re..lli hai shuru.
Saala, Love yeh kaisa,
Apna time aayega…

Gateway se banstand tak chala,
Pathar pe naam bhi likh daala,
Issh…strong banegi apni kahaani.
Saala, Love yeh kaisa,
Apna time aayega…

Apni bhi private gaadi,
Neeli batti wali Auto niraali,
Ek…ich seat pe chipke apun dono,
Aaju-baju bajega no pandu.
Saala, Love yeh kaisa,
Apna time aayega…

Gulab pakda haath mein,
Candle light ka booking dhabe pe,
Darling, pyaar se kha toh lo,
Kya tasty…ichh hai chicken masala.
Saala, Love yeh kaisa,
Apna time aayega…

Johri apni ki jeb ke andar,
Anguthi pahuchi ghar ke bheetar,
Maar hi daala mauke pe chouka,
Tu…ich maangta apun ke dil ko.
Saala, Love yeh kaisa,
Apna time aayega…

Shaadi banayegi apne se,
Kholi liya tere waaste,
Einglis medium ki paltan apunki,
Kya banegi tu ab; meri baiko?
Saala, Love yeh kaisa,
Apna time aayega…

Sparsh! – A touch

https://www.youtube.com/watch?v=Jahus_0mysI

Samundar ke tat par,
Aayi ek leher oonchi,
Khaara paani bheega le gayi,
Oof kya tumne mujhe choo aa…
Yeh kaisa sparsh hai tera!

Dooor dooor tak faili,
Ret ki lambi chaadar,
Komal chaav se lipti rahi,
Oof kya tumne mujhe sarahyaa…
Yeh kaisa sparsh hai tera!

Chadhta suraj apni jawaani mein,
Peeli roshni neele amber mein,
Odh lu kesariya rang chunar ka,
Oof kya tumne mujhe bikhraya…
Yeh kaisa sparsh hai tera!

O ri chori, ab sun le mari zara,
Halki muskaan ki meethi hasi hoon main,
Khaamosh zubaan ka alfaz hoon main,
Sulagti aag ki shama hoon main,
Dhadakte dil ki aag hoon main,
Dabe ehsaas ka raaz hoon main,
Rom rom ki pukar hoon main,

Teri rooh mein hoon main tehra,
Meera ke mann ka hoon main basera.
Kisan mein hai tera sparsh,
Tujse hi hoon main,
Mujhse hi hai teri leela,
Main hoon tera sparsh.

 

Bachpan:) – Childhood!

Nanhi ek kali,
Choti bani shararat,
Tim tim karta woh taara,
Main hoon bachpan ki asha.

Kore kagaz ki naav,
Le chalu dariya uss paar,
Badal mein base mera ghar,
Main hoon bachpan ki asha.

Pahadon ki choti par,
Rehti nagri sundar phoolon ki,
Pedon ki chaav mein ja lipti,
Main hoon bachpan ki asha.

Baarish ki basti aayi,
Masti ki woh subah chaayi,
Gile paton ki oss ko odhh lu,
Main hoon bachpan ki asha.

Kache dhaage dosti ke,
Wadein jhoomtein jhulon ke,
Gagan ke parindo se bhi aage,
Main hoon bachpan ki asha.

Umr ka koi hisab nahi,
Masoom mann ka jawab nahi,
Duniya ki nazaron se na dekho,
Main hoon bachpan ki asha.

Dua karoon uss bhagwan se,
Salaamat rahe mahal yeh,
Doli saje sundar khawabon ki,
Main hoon bachpan ki asha.

 

Nasha! – Love Intoxicated

Dhuaan iss hawa mein,
Mehek teri mere mann mein,
Uff, yeh kya ho gaya,
Benakab hua nasha,
Pyaar ka iss dil mein.

Gulabi rang kyon chaaya…,
Armaan honton se takraya,
Uff, yeh kya mehfil hai,
Bechain hua nasha,
Jazbaaton ka iss khayaal mein.

Jaadu tere husn ka,
Ada meri madhoshi ka,
Uff, yeh kya khoobsoorti hai,
Qayamat hua nasha,
Raat ki iss jawaani mein.

Reshmi toofan aaya,
Aankhon se paigam laya,
Uff, yeh kya masti hai,
Humsafar hua nasha,
Meethe rishton ka iss palkon mein.

Faaslon ka mukam aaya,
Teri umeed ka maahol laya,
Uff, yeh kya kalma padha,
Ishq hua nasha,
Mazahab dhadktein dilon mein.

Mulakat hui jab dard se,
Kashish lipti tere ehsaas se,
Uff, yeh kya bhool hai,
Zindagai hua nasha,
Maseeha dua ka sulagti rooh mein.

 

Saathi re…! – Companionship

Saathi re… thoda tehar jaa,
Ke zindagi abhi baki hai.
Yeh manzilein hai nayi,
Phir wohi raaston pe purani kasmein hai.

Saathi re… thoda tehar jaa,
Ke udte parindon ki nishaani hai.
Aaj khula hai aasmaan,
Kuch door saath chalne ki baatein hai.

Saathi re… thoda tehar jaa,
Ke dhun abhi baki hai,
Ek saaz koi hai cheddaa,
Dua mere ishq ki bezubaani hai.

Saathi re… thoda tehar jaa,
Ke khwaaishein abhi baki hai.
Boond barsaat ki hai sang,
Yunhi badalte mausam ki javaani hai.

Saathi re… thoda tehar jaa,
Ke dilon mein aag lagna baki hai,
Kuch tere hai darmiyaan,
Aaj sulagti shama ki ravani hai.

Saathi re… thoda tehar jaa,
Ke kadmon ko sambhalna baki hai.
Yeh dastaan hai nayi,
Judaa mohabbat ki yeh kahaani hai.

Saavan – The Rain!

Thandi hawa ka jhoka,
Laya ek sandesa,
Aayo re aaj saavan,
Bhar gayo maaro aangan.

Badal ki kashti par hum savaar,
Bijli rani ki sunli tune pukar,
Aayo re aaj saavan,
Bhar gayo maaro aangan.

Dariyaan ki oonch mouja se takrati,
Kinaar lagi, choti si naav hamar,
Aayo re aaj saavan,
Bhar gayo maaro aangan.

Dharti par barsonn re megha,
Manva ma naachein neela mor,
Aayo re aaj saavan,
Bhar gayo maaro aangan.

Boond boond tu barsein,
Mohe jiya, kyon hai tadpein,
Aayo re aaj saavan,
Bhar gayo maaro aangan.

Sar se bheegi chunar maari sarki,
Tohar piya ki yaad se jaa lipti,
Aayo re aaj saavan,
Bhar gayo maaro aangan.

Bheeni maati ki sou,
Tootein na umrr ki dor hamar,
Aayo re aaj saavan,
Bhar gayo maaro aangan.

Website Powered by WordPress.com.

Up ↑

%d bloggers like this: