Aks – The reflection

Mehak gaon ki,
Mitti mein jaa basi.
Basera jazbaaton se…
Rooh ka kafila chala,
Gehraaiyon mein buna raha.

Woh kaisi yaari,
Log kahe dil-daari.
Daman uska kaise khali…
Saath-hi-saath,
Chale duniya saari.

Kabhi iss kadar,
Kabhi uss dagar.
Ghume woh shehr shehr…
Banjaara woh na sahi,
Dastak de har koi.

Koun hai…
Kahan hai!

Yahaan hoon yaar,
Tere paas, tere saath.
Main sirf main hoon…
Mujhse tu hai,
Mera naam Aks hai.

Thoda sa dil ♥

Lambi kaali chaadar…
Dheeme dheeme badhti hain.

Roshni laaye shamaa…
Thodi si pigalti hain.

Sanaata laayi khaamoshi…
Phir bhi kuch kehti hain.

Aarzoo dil ke kone mein,
Yunhi aaj behti hain!

Thoda sa dil ♥

#ek Jindadi

Ae jindadi tu dass mainu…
Kithe tu,
Aur… kitne tere maslein.

Na kaha; toh faasle badh gaye,
Aur bole toh faisle bann gaye.

Na ruke; toh haath chooth gaye,
Aur juke toh dil judd gaye.

Na sunna; toh ankhaan bhar aayie,
Aur samjha toh kaleje vichh thand paayi.

Na himmat; toh mann di joli khali,
Aur sher-da-jigra toh mutthi ekk bhaari.

Ab toh thoda dass…
Ae Jindadi,
Kithe tu…
….Tere vich koun…
Main… ya meri parchaayie!

Hounsla!

Khayaalon se karoon ek sawaal,
Meelon tak itni doori kyon?
Manzil koi dastak de,
Ankahe saare raaz kahe.

Woh meri zidd,
Mera jazba,
Aur junoon.
Jeene ka andaaz woh,
Mar mitne ka khawab bhi woh.

Aisa hi hai woh…
Jigar ke paar,
Jeet ka vaar.
Josh ki lalkaar,
Mann ki pukaar.

Bas aur koi nahi,
Akela woh, akela main.
Hum ladte rahe,
Phir bhi chalte rahe.

Haste haste…
Kabhi woh meri dagar,
Aur main uske nagar.
Aisa mera woh humsafar…
~ Mera Hounsla!

Ishq!

Nazar chura ke tum na dekho,
Jhuki aankhon se tum na muskurao,

Dekho kuch aise…
Khawbon ki haqueeqat dekho.
Khula neela pyaar dekho.

Parindon ki udaan dekho.
Hawa ka jhokha dekho.

Mitti ki khushboo dekho.
Aangan ki pukaar dekho.

Khayaalon ka ehsaas dekho.
Izhaar mein ikraar dekho.

Kabhi toh kehdo,
Yeh ishq hai…

Haan, mujhe ishq hai.
Zubaan-e-ishq ibadaat dekho!

Bhay! – Fear

Maangle tu aaj,
Toofani lambi raat.
Buja de saare deepak,
Umeedon ke dwaar.
Jal gayi rasi,
Par bal na tuta.
Chalta rahe kafila,
Bhay naam hai tera.

Shikanj meri itni,
Koshish karta rahoon.
Joh jung mein hai tu,
Toh vaar main bhi karoon.
Tu bhay hai,
Toh main hosla hoon.
Tu le panaah soch mein,
Toh main dil mein basu.

Tu kamzor bana faislon ko,
Main buland awaaz dil ki.
Dagmagaye kabhi tere paiyr,
Main pathar ki ek lakir.
Sunn yaara apne mann ki,
Sirf andar dil ki.
Bhaga yeh bhay ko,
Mita uske ghar ko.

Jala mashaal roshni ki,
Ujaala kar aashiyaane ko.
Darr ka na koi naam,
Bhala uska kya hai kaam.
Rukna nahi,
Aur zukna nahi.
Maut se aage tu nikal,
Zindagi; silsilon ka…
Keval ek naam hai.

Happy World Poetry Day 21 March

#irshad

Jitni shiddat hai,
Usse tu kho na de…

Jitni shiddat hai,
Usse tu kho na de…

Andheron mein gum si jaaye.

Suna hai ussi mein hai ibbadat.
Sambhale rakh…

Kya pata wahi mera khuda mil jaaye.

Feminism

No boast to praise,
No toast to raise,
I hit a simple truth,
Feminine… I am.
Feminism is me.

The bold individualism.
The attitude in my sleeves.
The mark of silent attention.
The comfort of my jeans.
The scars on my skin.
Allow me to grow thick and thin.

Enthral bold experiences.
Skill thrilling adventures.
Sail mighty endurances.
Toughen gentle resolves.
Perceive grim battles.
Aim me to stand high and tall.

The womb of world,
Calls me names.
Ripping through shuttering eyes,
My feminism cuts barriers ahead.
For new terrains and green plains.

Feminine… I am.
Feminism is me.

Usool – The Principle!

Usool bade bedhangi hai,
Na hai uski jaat.
Kaise kahe badi woh baat,
Kya tum jaano uski kitni aukaat?

Usool bade bedhangi hai,
Kitne lagaye anginat rok.
Mohallon se woh aise guzre,
Apni dagar woh likhte chale.

Usool bade bedhangi hai,
Bin taal ke taan chedte rahe.
Par taalim se jude bane,
Yahan, wahan suron ke saaz lagate gaye.

Usool bade bedhangi hai,
Sanaton mein siskiyaan rote hue.
Toofan ka sanket dete gaye.
Jhujte rahe… par jeet ki kashti paar karte gaye.

Usool bade bedhangi hai,
Mukam ki dorr kheechte hue.
Raah mein faasle badhate chale,
Manzil yunhi fateh paati rahe.

Usool bade bedhangi hai,
Unhe banaye kisne?
Mann ka sawaal bana usool,
Raaz mein jawab de gaya usool.

Oye yaaron…Thoda samjho inhe,
Usool bade bedhangi hai!

 

 

 

Dil kyon rota hai – Tears!

Dil kyon rota hai…
Bebas tu kyon hota hai,
Saala apna hi koi khota hai,
Aansoo tu kyon peeta hai.

Anjaano ka mela hai,
Akela tu kyon sota hai,
Aahat teri sune na koi,
Dard tu kyon sehta hai.

Bheed ki awaaz sunn,
Hawa se khoj na paoon,
Tujh tak kaise pahuchu,
Bheetar se tu kyon bolta hai.

Khaamoshi se baitha hai,
Mehsoos kaise karu,
Dhadkan yunh ruk gayi aise,
Waada tu kyon karta hai.

Dil kyon rota hai…
Bebas tu kyon hota hai,
Jhooth aisa bolta hai,
Pal woh ek dhoka hai,
Tanha mann aaj kehta hai,
Zindagi tera saath chota hai,
Dil tu kyon rota hai!

Website Powered by WordPress.com.

Up ↑

%d bloggers like this: