Hawa – The wind!

Ae hawa tu hai kahan,
Gumnam hai tera shaher,
Galiyon mein hai tera ghar,
Ae hawa tu hai kahan.

Tu rukti nahin,
Tu jukti nahin,
Apna hi rookh, banati hai,
Ae hawa tu hai kahan.

Resham jaise sar sarati hai,
Lal dupattein ko lehrati hai,
Silsila tere khwab ka jagati hai,
Ae hawa tu hai kahan.

Megha jab aati hai,
Mitti ki mahek laati hai,
Tere kangan ki khanak sunati hai,
Ae hawa tu hai kahan.

Chanchal si behti hai,
Mann ko mere chu jaati hai,
Mohobbat teri yaad aati hai,
Ae hawa tu hai kahan.

Dil mein ehsaas jagati hai,
Intezaar ki kashish badhaati hai,
Pyaar ki yeh kash lagati hai,
Ae hawa tu hai kahan.

Aaj sang chalu tere shaher,
Ya fariyaad karoon iss kadar,
Bhula na doon uss mausam ko,
Saugaat hai yeh, tere pyaar ki,
Ae hawa tu hain kahan.
Bas yahan! Sirf yahan!

 

Website Powered by WordPress.com.

Up ↑