Maangle tu aaj,
Toofani lambi raat.
Buja de saare deepak,
Umeedon ke dwaar.
Jal gayi rasi,
Par bal na tuta.
Chalta rahe kafila,
Bhay naam hai tera.
Shikanj meri itni,
Koshish karta rahoon.
Joh jung mein hai tu,
Toh vaar main bhi karoon.
Tu bhay hai,
Toh main hosla hoon.
Tu le panaah soch mein,
Toh main dil mein basu.
Tu kamzor bana faislon ko,
Main buland awaaz dil ki.
Dagmagaye kabhi tere paiyr,
Main pathar ki ek lakir.
Sunn yaara apne mann ki,
Sirf andar dil ki.
Bhaga yeh bhay ko,
Mita uske ghar ko.
Jala mashaal roshni ki,
Ujaala kar aashiyaane ko.
Darr ka na koi naam,
Bhala uska kya hai kaam.
Rukna nahi,
Aur zukna nahi.
Maut se aage tu nikal,
Zindagi; silsilon ka…
Keval ek naam hai.
Leave a Reply