Usool bade bedhangi hai,
Na hai uski jaat.
Kaise kahe badi woh baat,
Kya tum jaano uski kitni aukaat?
Usool bade bedhangi hai,
Kitne lagaye anginat rok.
Mohallon se woh aise guzre,
Apni dagar woh likhte chale.
Usool bade bedhangi hai,
Bin taal ke taan chedte rahe.
Par taalim se jude bane,
Yahan, wahan suron ke saaz lagate gaye.
Usool bade bedhangi hai,
Sanaton mein siskiyaan rote hue.
Toofan ka sanket dete gaye.
Jhujte rahe… par jeet ki kashti paar karte gaye.
Usool bade bedhangi hai,
Mukam ki dorr kheechte hue.
Raah mein faasle badhate chale,
Manzil yunhi fateh paati rahe.
Usool bade bedhangi hai,
Unhe banaye kisne?
Mann ka sawaal bana usool,
Raaz mein jawab de gaya usool.
Oye yaaron…Thoda samjho inhe,
Usool bade bedhangi hai!
You write so well. So Beautiful…..keep it up and keep us intellectually strained as to what new you will surprise us with….God Bless You always..
LikeLike
🙂
LikeLike