Lamha – (A moment)

A blog in Hindi language, but written in English. Its a poem on ‘A Moment’.

Ek lamha tha jo chu gaya,
Kuch lamha woh aisa jud gaya.

Ek lamha tha joh hoton tak na aaya,
Kuch lamha woh aisa, naino ke lavsz suna gaya.

Ek lamha tha joh paimane ko na takraya,
Kuch lamha woh aisa, silvatein badalta gaya.

Ek lamha tha joh mehsoos na hua,
Kuch lamha woh aisa, ek ehsaas jaga le gaya.

Ek lamha tha joh halki aahat na sun saka,
Kuch lamha woh aisa, dil mein dastak si de gaya.

Ek lamha tha joh itefaak se mila,
Kuch lamha woh aisa, aadat si ban gaya.

Ek lamha tha joh yaadon ko talaashein,
Kuch lamha woh aisa, manzil ko aazmayein.

Ek lamha tha joh judaai se na mita,
Kuch lamha woh aisa, ishq se mil gaya.

Ek lamha tha joh zehen se na nikla,
Kuch lamha woh aisa, nasal mein bas gaya.

Chalta raha lamho ka yeh silsila,
Karigari bangayi hai ab zindagi.

Ae lamha tu hain kahan,
Khuda se hoon ab mila par rooh se tu na gaya.

Ek lamha tha jo chu gaya,
Kuch lamha woh aisa jud gaya.

9 thoughts on “Lamha – (A moment)

Add yours

Leave a comment

Website Powered by WordPress.com.

Up ↑